Forum Replies Created

Viewing 15 posts - 16 through 30 (of 68 total)
  • Author
    Posts
  • in reply to: Music #27097
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Ok… Wait kren ji phr thora.
    Search krni paren gi dobara.

    in reply to: Ashraf ul makhlooq at #27095
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Nemrah ka point ye nahi hai k insan Ashraf ul Makhlooqat hai ya nahi he.
    Unka point ye hai k insan ko kaheen per Ashraful Makhlooqat ki basis per fazeelat nahi di. Ahsan e Taqweem ki waja se di hai. Or hum us Ahsan e Taqweeem ko bhool jatay hen.
    Aap agar insan ko Ashraf ul Makhlooqat samajhti hen to samjhen. Bilkul samjhen. Koi masla nahi he. Lekin hum wo Ashraf ul Makhlooqat bi Ahsan e Taqweem ki waja se hen. To hum ne usko nahi bhoolna.
    Nemrah ka point sirf ye tha k “Allah ne” kabi ye nahi kaha k insan Ashraf ul Makhlooqat he. Allah ne sirf Ahsan e Taqweem ki baat ki hai.

    Insan ka Ashraf ul Makhlooqat hona ek logical sense hai. “Deen” main esa kuch nahi he.

    Hope that answered the question.

    in reply to: Music #27094
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Nimrah Firdous.

    Music Haram hai ya nahi. Is behs main nahi jaon ga. Jahan tk baat Shadi k moqay ki he.

    Agar mard or aurto ki combine gathering na ho. Or jese aaj kal dance waghera hotay hen wo cheezen na hon.
    To Shaadi k moqay per ganay ki mehfil lagana na sirf jaiz hai, balqay mustahab (pasandeeda amal) hai.
    Ye Authentic Ahadees se sabit hai. Balkay ek Hadees to esi bi he jis main kisi Shadi k moqay per ye sub nhi ho rha tha to Muhammad S.A.W aa kr puchte hen k tm logo ne gaanay wali aurto ko kyu nahi bulaya?

    Agar in Ahadees ka reference chahye to bata den… Dhoondni paren gi thori. Lekin mil jaen gi.

    Rest Allah knows the best.

    in reply to: Pardah #27093
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Nemrah k khayal main bi farz nhi he. Kyu k wo khud chehra ka parda nahi krteen.

    in reply to: Pardah #27092
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Straight answer??
    Farz nhi he.

    Farz koi esa kaam ho hi nhi skta jis ka hukum Quran ya Hadees main clear cut na milay. Esi Ahadees bhi mojood hen jo parday k hukum k baad ki hen jin main Muhammad S.A.W or Sahaba k samnay wo aurten ayeen jin ka chehra khula hua tha. Lekin Muhammad S.A.W ne unhe chehra dhaknay ka hukum nahi diya. Balkay ek Hadees main to Nabi ne ek Sahabi ka munh pakar k doosri taraf mor diya jo us Aurat k husn ki waja se usay dekh rhe thay. Tb bi Nabi ne us Aurat ko hukum nahi diya. Sahabi ka munh mor diya. Aap ko kya lagta hai agar farz hota to wo kuch nahi kehtay??

    Ek or baat. Umra or hajj k doran chehra dhakna mana hai… Ehram baandhnay k baad Masjid e Haram main koi farz amal mana nhi hota. Jitnay bi amaal mana hotay hen wo amaal wo hotay hen jo Mustahab hotay hen.

    Ye mera apna zaati khayal hai. Baqi Allah behtar janta hai.

    in reply to: Ghor o fiqar #27037
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Walaikum Assalam

    I don’t wanna disappoint you. But sometimes we have to face the truth. To be honest there’s no shortcut if you want to do it yourself. You need to spend some time in learning Arabic. Grammar specially. Because vocabulary to dictionary se mil jaati hen.

    But you need to spend some time with the language. Logo ko Erugral dekh kr Turkish seekhnay ka shoq to charh jata he lekin Quran parh kr Arabic seekhnay ka shoq nhi charhta.

    in reply to: Mardon ko Auraton par fazeelat? #27035
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Ehm… Nice topic. 😀

    First. Mujhay nahi yaad k Nemrah ne us ayat ko mention kiya tha. Kaafi time ho gya us lecture ko parhay hue. Ya agar kiya bi tha to jese wo ayat ek specific context ki hai wese Nemrah ki baat bi ek specific context me thi.

    Ye baat to bilkul durust hai k Mardo ko aurto per fazeelat hai.
    Ab ap kahen gi ye a gya mardo ko defend krne… 😀 Nahi… Esa nahi hai. Baat kuch esi hai k.

    Mardo ko aurto per fazeelat hai.
    Or Aurto ko bi mardo per fazeelat hai.

    Allah Taala ne har cheez main dono ko same maqam nahi diya. Kyu k esa krna bewaqoofi he. Kisi bi sports main Mardo or aurto ka apas main match krwa den. Kyu nhi krwatay? Foorball ka game krwa den Aurto or mardo k beech. Kyu nhi karwatay? Barabar hen na dono?? Krwayen ap… Kis k zyada chances hongay jeetnay k? Mardo k… Kyu k mard physically zyada strong hota hai. Mard or aurat barabar nhi hen. Lekin wo barabar hen. Kese?

    Mardon ko jahan jahan fazeelat di hai. Wahan mardo ko di hai. Lekin aurto ko bi boht jaga di jahan mardo ko nhi di.

    Husn e Ikhlaaq sub se zyada haqdar kon hai? Maa. Yahan aurat ko fazeelat hai.

    Lekin baap ki narazgi main rabb ki narazgi he. Yahan mard ko fazeelat de di.

    Agar koi kisi mard ko qatal kre to uski diyyat 100 oont hai. Lekin agar Aurat ko qatal kre to uski diyyat sirf 50 oont hai.

    Ab aurten yahan shor krti hen. K aurat ki value km kyu hai? Wo ye nhi dekhteen k mard k qatal honay per jo 100 oont diyyat hai wo kis ko milen gay? Us ki biwi ko. Value mard ki zyada hai. Lekin yahan faida mil kis ko rha hai? Ye socha?

    Mard or Aurat ki equality ki jo debate hai na. Us ki base boht fuzool hai. Ap har cheez main dono ko equal nahi rakh skte. Ye bilkul fuzool or illogical harkat hai. Kaheen per mard agay hen. Kaheen per auraten aagay hen. And since negative and positive neutralize each other the end result is, both of them are equal.

    So depending on the situation and depending on the context ap ne dekhna hai fazeelat kis ko hai. Warna collectively to dono equal hen. Allah ka deen kisi ki haq talfi nahi kr skta… That’s the whole point.

    That’s what i think. Baqi Allah knows the best.

    in reply to: To Admin… #27033
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Yeah. In every lecture we read that on weekends answers will be posted of most relevant questions. But still… No replies from here.
    We understand that she’s busy but… It’s just not good to not get answers of confusions and questions.

    in reply to: assignment #26912
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Yeah… Where is the assignment?

    We want assignment @Nemrah Ahmed.
    Just learning and moving on is not much fun. Until we put our minds to work and do practical exercises of whatever we learned.

    Please assignments den. ?

    And (i think) it would be better if assignments are public and we can also read other people’s thoughts and research about any verse.

    in reply to: Music #26766
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Ap ko ap ka jawab mil gaya to theek hai. Agar wo ap k liye kaafi he to.

    Lekin kuch cheezen hen jo ese clear cut nhi hen. Esi Ahadees bhi hen jahan Muhammad S.A.W ne khud gana bajanay ko kaha hai. Or wo Sahi Ahadees hen. Wo ahadees jo koi scholar apnay dars main bayaan nhi krta. Lekin wo Ahadees mojood hen. Or authentic hen.

    Ap ne wo cheezen nhi dekhi to alag baat he. Lekin Kuch cheezen hen, jo clear nhi hen. Kuch cheezen hen…. Bilkul hen

    in reply to: Music #26759
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Mene ye nahi kaha k pehlay doosray Haram kaam choro phr music per ao. Jese log kehtay hen pehlay doosri sunnaten puri kro phr doosri shaadi per ao, phr daarhi rakhnay per ao.

    Nahi…

    Mene ye kaha hai k ek cheez doubtful hai. Uska humen pta hi nhi hai k wo Haram hai ya jaiz… Is liye us per baad main aao.

    Jis ka sub ko pta hai k ye haram hai, pehlay wo chor den. Doubtful cheezo per baad main ajaen gay.

    Koi ek scholar bi prove nhi kr skta 100% surity k sath k music haram hai.
    Or na hi koi scholar ye prove kr skta hai 100% surity k sath k music jaaiz hai.

    Is case main tableegh ka aghaz music se lena aqalmandi hai ya bewaqoofi?

    in reply to: Music #26756
    Daniyal Ahmed
    Participant

    There are Sahi Ahadeed that prove that Music is Haraam. And there are also Sahi Ahadees that prove that music is Halal. We have them both.

    in reply to: Music #26755
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Dear Brothers and Sisters… music k uper itni behs krna fuzool hai.
    Zyadatar scholars isko haram kehtay hen. Lekin boht se jaiz bi kehtay hen (agar koi behayaaee na ho).

    I can debate on both ends. Main ye bi prove kr skta hun k ye jaiz hai. Or ye bi prove kr skta hun k ye haraam hai…

    Koi music sun rha hai. Ap us se kahen behtar hai k tm Quran sun lo. Lekin fatway na lagaen. Kyu k agar agla banda zyada knowledge wala hoga, ap us se debate nhi kr paen gay. Ye aap mujh se likh kr le len. Agar kisi ko meri baat pe shak hai to wo mujh se “ilmi debate” kr skta hai. I don’t mind.

    Jahan tk baat dopamine ki hai. Samra has a point. We can not just say k music se dopamine milta hai is liye ye kharabi he.

    Dopamine or bi cheezo se milta hai… Or agar sirf music ki domain main reh kr baat krun to. Dopamine us “daff” (one sided drum) se bi milta hai jisko saaray ulama jaiz kehtay hen. Daff main music bi hai or dopamine bi hai. Wo kyu jaiz hai?

    Baat sirf itni hai. Music ka maamla baray baray scholars ko clear nhi hai. To hum kya cheez hen. Doosri jo Haram cheezen hen kya hum ne wo sub chor di? Kya hum ne jhoot chor diya? Gheebat chor di? Lekin nahi hum ne amal nhi krna, behs krni he.

    Mujhay nahi lagta Allah kisi aisay insaan ko jo boht acha or neik insan ho, sirf is waja se jahannum main daal dega kyu k wo music sunta tha. (I don’t think so, plus this is my personal thinking)

    Pehlay wo haram cheezen chor dete hen jo zyada important hen. Kya khayal hai?

    Ab bhi Agar kisi ko sirf knowledge k liye… I am saying it again “sirf knowledge k liye” mazeed is per baat krni he to kr skta. I will try to answer.

    in reply to: Question: #26754
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Hmm… Nice question.

    Kuch cheezen hen jo k aap miss kr rhi hen. Agar ap un per nazar rakhen to baat samajh ajae gi.

    Insaan or Iblees main farq hai. Insan agar koi ghalti kr jata hai to Allah usko benefit of doubt de skta hai. Kyu k insan ne Allah ko dekha nahi he.
    Mera aap se ye sawal hai. Agar Allah aa kr ap k samnay khara ho jae. Face to face or wo phr aap ko kisi baat ka hukum de. Aap ki majaal hogi uski deny krne ki??? Kya kisi bhi aadmi ki hogi? Chahay wo gheir Muslim hi kyu na ho. Kya uski majaal hogi? Ye jannay k baad k ye Khuda hai is puri kainaat ka?? Nahi hogi na?? Iblees ki majaal thi… Us ne direct Allah se Takkar li hai. Iblees was like “Main to tera hukum nahi maanun ga, tu ne jo krna hai kr le.”

    Boht farq hai us k gunah main or humaray gunah main.

    Agar… Let’s suppose… In case… Allah ap k samnay face to face aa kr ap ko hukum deta hai kisi cheez ka. Or aap iblees ki tarah deny krti hen. To Allah aap ko bi dhutkaar de ga.

    Hum jitnay bi gunaah kren, hum apnay khuda se tassal nhi lete jese Iblees ne li thi. Iblees ko pta tha k ye jo mere samnay khara hai ye Allah hai. Ye jo chahay kr skta hai. Ye khuda hai. Us ne kehnay ko to insan ko sajda na kr k takabbur kiya tha. But the way i see it. Us ne khuda ki khudai ko degrade kiya tha. K tu khuda hai tu ne jo krna hai kr le. Main to teri baat nahi maan rha… Or wo us per dharallay se qaim rha tha… Ghalti nahi maani thi us ne apni.

    Jo bhi is level tk jae ga… Jo bhi… Allah usay dhutkaar de ga.

    Mil gaya jawab? Abi bi confusion hen to puch len. 🙂

    in reply to: Sabaq#2 #26432
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Meray khayal se wo thori ghalti kr gai hen.
    Unka shayad mtlb hai Sar k sath peron ka masah.

    Qur’an ki jo ayat hai wuzu ki. Surah Maedah ki ayat 6.

    Us k agar actual meaning dekhen to wo kuch yun hen.

    “Ay eman walo! Jb tm namaz k liye utho. To apnay munh or hath kohniyo tk dho lo. Masah kr liya kro sar ka, or paon takhno tk.”

    Ab yahan agar dekha jae to ye mtlb bi samajh ata hai k masah krne ka kaha gaya hai Sar or paaon dono ka. Isi base per fiqah jafriyah (Ahl e Tashee) paaon dhotay nahi hen. Balkay masah krte hen.
    Wo sahi krte hen ya ghalat krte hen is behs main nhi jaon ga main. Kyu k ye ek public place he. Main bs batana chah rha hun k actual baat kya hai.

    Mere khayal se Nemrah ka eshara is taraf tha or wo thori mistake kr gai hen.

Viewing 15 posts - 16 through 30 (of 68 total)
Scroll to Top