Forum Replies Created

Viewing 15 posts - 1 through 15 (of 68 total)
  • Author
    Posts
  • in reply to: Hazrat Essa AS #29204
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Kyu k Hazrat Eesa A.S ko Allah Taala ne zinda zameen se utha liya or wo is waqt jannat main mojood hen.

    in reply to: Allah k dost k wasely sy dua krna shirk kysy h? #29168
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Ok… I will try to make it as clear as possible.

    Allah k elawa kisi se madad mangna shirk “nahi” hai. Ap kisi waseelay k through madad maang skte hen. For example apka Maths ka exam hai and i am a Maths expert. To mujh se help lena ghalat nahi he. Ya koi bi doosra kaam jo ap ka atka hua hai. Or ap kisi se help maang len. Ghalat nahi he.

    Ab aatay hen ek doosray nuktay ki taraf. Ye Auliya or Wali jin k waseelay se log maangtay hen. Ye shirk hai.

    Kese shirk he? Madad maangnay ki waja se shirk nhi he. Unko hazir jaan kr madad maangna shirk hai. Ek banda jo is dunya se chala gaya. Uska or ap ka link ab nhi he. Lekin phr bi log unko pukaar k madad mangtay hen. Ye shirk is liye he kyu k wo unko hazir naazir maantay hen… All seeing and all hearing. Jb k ye sifaat sirf Allah Taala ki hen. To wo shirk is wajah se hai k hum unhe Allah k almost barabar laa kr khara kr dete hen.

    Ye meri zaati raye he jo Ghalat bi ho skti he. Hope that answered the question.

    in reply to: My problem #29167
    Daniyal Ahmed
    Participant

    No, it’s not a sin if you are following all the basic rules.

    Cover yourself as per the ruling, maintain distance. Don’t be too frank or friendly.

    It’s not sinful at all.

    Hazrat Khadija and Ayesha were also the teachers of male Sahaba.

    Islam is not as strict as people portray these days.

    in reply to: Scientific inventions #27443
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Main sirf us criticism ko sahi keh rha hun. Hum deserve krte hen!
    Chahay Atheist ho ya koi bi ho. Esa nahi k Atheist hai to uska har criticism ghalat hoga. Nahi… Jo baat sahi hai, wo sahi hai.

    Or jahan tk baat hai apni khaamyo k pta honay ki. To yahan ap mere khayal se ghalat hen. Agar esa hota na to kuch nazr a rha hota. Yahan aaj tk wohi ghisay pitay maamlaat per baat hoti he jo 100 saal pehlay hoti thi.

    Kher… Aap ko pta he main kya bol rha hun or ye bi pta he k ghalat nhi bol rha. To behs fuzool he.

    in reply to: Scientific inventions #27431
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Yahoodi sirf kuch hazaar ki tadaad main hen or dunya per raaj kr rhe hen…
    Kyu?? Kyu k wo apnay bacho ko bachpan se skills sikhatay hen…
    5,6 class k bachay cyber security parh rhe hotay hen. Jo humaray yahan 30 saal computers ki field main kaam krne walo ko bi nahi aati sahi se. Main cyber security engineer hun mujh se puchen aap kya haal hai yahan.

    Wahan k bachay humaray experts ko munh dete hen… Lead to kren gay na dunya per.
    Yahan per kya hai? Yahan per ye hai k “computer ek dajjali fitna hai. Internet dajjali fitna hai. Mobile phone dajjali fitna hai.”

    Hum in cheezo se bahar hi nahi aatay. Akhrot k barabar to dimagh hai humara.

    Kaheen pe Muhammad S.A.W k khakay post ho gae. Facebook band kr do. YouTube band kr do… Bhai… Main band krne k khilaaf nahi hun. Band kro. Lekin band us waqt kro na jb apna kuch ho ap k paas. Apna kuch nahi banana hum ne.

    China ki misaal le len… China kitni taraqqi kr rha hai. Agar aap ko nahi pta to main bata dun. China main Google nahi chalta… WhatsApp nahi chalta.
    Us ne bi ye sub band kiya hua hai. Lekin us ne apnay alternates banae hue hen…
    Humari tarah akhrot dimagh nahi hain wo log. K apna kuch na banao or jo hai usko bi band kr do.

    Bhai waaah…!

    Alfaz nahi hen mere paas mazeed kuch bolnay k liye. But you can understand my feelings i guess…

    in reply to: Scientific inventions #27430
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Jahan tk baat jawab dene ki hai.

    To atheists se aap ye puchen k insan ne khud kya takhleeq kiya hai??
    Kuch bi “takhleeq” nahi kiya. Ijaad kiya hai sirf. We are inventors not the creators.

    Koi cheez bananay k liye humen uski base per koi cheez chahye hoti hai. Hum baghair kisi cheez k kuch nahi bana skte. Ek kursi bi banani hai to lakri chahye. Lakri kahan se aye gi? Darakht se… Darakht hum ne banaya hai???
    We can not create anything out of nothing. We need raw material. And that raw material is nature. And nature is something created by God. To in the end shukar khuda ka hu krna chahye. K us ne humen esi cheezen di hen jin se hum mukhtalif cheezen bana rhe hen…

    But… But but….
    Atheist ka jo criticism hai na. Wo sahi hai… Or main is main atheist se agree krta hun. Sirf criticism se…
    Aaj k musalman ya to fuzooliyat main lagay hen. Or nahi lagay fuzooliyat main to sirf deen main lagay hen…
    Dono cheezen ghalat hen.

    Dunyawi zindagi bi koi cheez hai. Dunyawi taleem bi koi cheez hai. Us main bi banday ko agay barhna chahye… Musalmano ko is dunya main leader banna hai. Or leader nahi ban skte jb tk aap dunyawi maamlaat main doosro ko compete nhi kr sken.
    Musalmano k kaarnamo ki baat kro to wohi jabir bin hayyan, wahi bu ali seena, wahi ibn ul haitham, or wohi al khwarizmi. Jo pta nahi kitni sadyo pehlay mar chukay.
    Itni sadyo se hum ne kya kiya??
    Makkhyaan maari beth k, to be honest.
    Doosro ki taangen khenchi. Firqo main par gae. Ye kiya hum ne…

    Atheist ki tanqeed sahi hai humaray uper. We deserve it. Jb tk hum khud ko wapis us maqam per nahi le aatay jo humara tha. Or jo hona chahye.

    in reply to: LGBTQ #27365
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Google 2 baaten is loye krta hai kyu k Google khud kuch nahi kehta. Wo wohi kehta hai jo log bol rhe hotay hen. Google sirf search krta hai.

    Or ap definitions Google hi kiya kren… Debate ho kisi maamlay main wahan google wo sub de ga jo dunya main log boltay hen. But definitions are always accurate.

    in reply to: Music #27343
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Again, it is just a perspective of a person.
    You should read the “ahadees” of both, haram honay ki bi or jaiz honay ki bi, and compare them. Then make a conclusion.

    in reply to: Music #27339
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Dekhe, har cheez plate main rakh kr nahi di jati.

    Ab aap teeno ko confusion he. Ap teeno mujhay ye batayye aap teeno ne kitni research ki hai?

    Insan ko apni research bi krni chahye. Agar Nemrah keh den k Haram hai to Haram ho jae ga? Agar main abi keh dun k Haram nahi hai to Jaiz ho jae ga Music?

    Music ka topic ek behs hai. Majority ka manna ye hai k haram hai. Lekin zaroori nahi hai k Majority humesha sahi ho. Ghalat bi ho skti hai. Lekin haan, sahi bi ho skti hai.

    To kisi se puchna k Halal hai ya Haram. Wahan per jahan ek debate, bewaqoofi hai.

    Aap puchen bhalay, lekin kisi k bi alfaz ko hurf-e-akhir na len. Dono parties ko sunen. Un k dalaail dekhen. Phr khud conclude kren. Apni raye rakhna seekhen. Blind follower na banen.

    in reply to: LGBTQ #27338
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Lesbian, Gay, Bisexual, Transgender, Questioning (LGBTQ)

    Ye ek community he jo is ko promote krti hai… Ya defend krti he…

    Sawal kren bilkul, but sawal se pehlay Google bi krne ki aadat daalen. Ap Google per LGBTQ likh deteen ap ko khud sub pta chal jata. Jahan tk baat General knowledge ki hai… To har cheez ko Google krne ki adat daalen. General knowledge k liye ek baat yaad rakhen. “Google, Google, Google.” Jo bi milay pehlay Google kren. Na samajh aye phr kisi se puchen.
    Main rude nhi ho rha. Samjha rha hun 🙂

    in reply to: Music #27111
    Daniyal Ahmed
    Participant

    You’re welcome.

    in reply to: General question. #27105
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Ap agar ek dafa faisla kr len k aap ne Shadi nhi krni abi. Pehlay parhna hai. To kisi main itni majaal nahi he k wo aap ki shadi krwa de.

    Log naraz hon gay… Haan.. wo to hon gay. wo to tb bi hongay jb aap reference le kr ayen gi. Naraz to unho ne jb bi hona hai. Lekin agar ap ko lagta hai k aap baat samjha skti hen to ap ko reference ki zaroorat hi nahi he. Ap unko ye samjha skti hen k Shadi main zabardasti nhi hai. Or main shadi se mana nahi kr rhi. Balkay “abi” shadi se mana kr rhi hun.

    That’s it.

    Keep things straight and simple.

    in reply to: General question. #27104
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Is main reference ki kya zaroorat hai?
    Islam itni choot deta hai k aap agar kisi waja se abi shadi krna nhi chah rhe to koi bi zabardasti shaadi nhi krwa skta.

    End of discussion.

    in reply to: Ashraful Makhluqaat #27102
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Iska jawab neechay discussion board main mojood he.

    in reply to: Music #27101
    Daniyal Ahmed
    Participant

    Sahi Bukhari 5162
    Sahi Bukhari 5147
    Sunan Nasai 3385
    Ibn e Majah 1900
    Ibn e Majah 1896 (important to look)
    Tirmizi 1088
    Sunan Nasai 3371

    Google krna hai Google kr len ye references as it is. Warna Islam 360 main search kr len. However you like.

Viewing 15 posts - 1 through 15 (of 68 total)
Scroll to Top