Forum Replies Created

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
  • Author
    Posts
  • Binte Uzma
    Participant

    Wanted to clear one thing Nemrah Abla
    Surat-ut-Tauba se phly Bismillah wali bat mene apki bat ko deny krny k lie nhi ki..
    Bs is barey me muje koi or bat pta thi to bs share krdi..
    Ab muje feel ho rha k muje aese bat ni krni chahie thi..
    Hum sb ne is course me adm hi is lie lia he k hum sb jantey or mantey hen k apka ilm hum se zayada he or hmen ap se seekhny ka moqa miley.. Chahey ustadha ki hesiyat se ya chahey fellows hny ki hesiyat se..
    Allah knows my niyah behind this.
    Jb phly mene ye bat ki to or kuch ni socha bs ap se ak fellow ki trh discussion krny k lie or in dono me se sahi interpretation janny k lie ki ye bat..
    ?!جزاكِ اللّٰه خيراً

    in reply to: Gunah ya Azmaish? #26237
    Binte Uzma
    Participant

    Mera b ye same ques hota tha takleefon k barey me k hmen kese pta chly k tkleefen azmaish hen ya gunahon ki saza to phir mene kahin prha k agr to un tkleefon me ap Allah se door ho gye to wo gunahon ki saza then.. Lekin agr wohi takleefen apko Allah Tala k or qreeb le ayin to wo azmaish….
    Is trah hi shyd apk ques ka ans b he k agr to Allah Tala k rastey me any wali rukawaten itni kamyab ho gayin k ap un rukawaton ki wja se Allah Tala se door ho gye thy to ye rukawaten gunah then ya sheytan ki sazishen..
    Lekin agr ap un rukawton k bawajood b Allah Tala k rastey pr chltey hi rhy… Apko khud ko ghaseetna pra us rah pr to ap ne khud ko ghaseeta.. Apko reengna pr us rastey pr or ap reengey lekin jese b kr k ap ne wo rah trk ni ki… Continue rhy jis b level pr rhy pr bs persistent rhy to bs phir wp rukawaten azmaish then or ap imthan me kamyab thehrey..
    Baki is se zayada muje ilm ni is barey me.. Ho skta he is se behtar jwab b apko kahin or se mil skey(Kion k is se to me abi khud kbi satisfied ni ho pati puri trh.. Bs phir khud ko Allah k hwaley kr dena tsalli satisfy kr deta he).. Mene bs ye kahin prha tha ye so ap se share kr dia.. May be kucg had tk helpful rhy apk lie..
    Or mere khyal se ap jo bat kr rhi hen aesi choti choti mushkilaat choti choti rukawaten is raah me ana to aam si bat he… Ye aam tor pr apk gunah ni hotey.. Bs sheytan ki trf se distractions hoti hn.. Jese Nemrah Ahmad ne likha k Sirat e mustaqeem ka wada ye ni kia gya k ye asan ho ga.. Nhi.. Blky ye mushkil hoga pr ye wada kia gya he k ye rasta hoga seeda… Khusnuma mor zrur ayen gey.. Pr is pr seedhet chltey rehney se hi hmen Rabb miley ga..

    in reply to: Belief without logical argument. #26233
    Binte Uzma
    Participant

    Or ap ne kaha “agr logic or science Qura’an se tkraney lgey..”
    Catholics ka mazhab science or logic se tkraya tha kion k wo haq mazhab nhi tha..
    Science or logic hmesha at last Islam tk hi phnchati he.. Lekin na aj or na Kal ko aesi koi bat hogi jo Islam k aqaid se tkraye… kya “duniya me he koi or aesa mazhab k wo science or logic islam se tkra k us mazhab se ja k relate kr skey gi..??”
    Science 21st century me abi tk time travel ko sahi se smjh ni pa rhi jb k Qura’an e Kreem me itney 100 saal phly se time travel ka b zikr he..(Wo ak shaks ka kai saal murda reh k wapis hosh me any wala waqeya.. Wo jb hosh me aya to sadiyan guzr chuki then lekin usey lga tha k kuch mnt hi guzrey hn.. Science ki zuban me wo future me chla gya tha time travel kr k..? Ya wo whin tha tha bs time guzrta chla gya tha Allah Tala k hukam se..?) Bat bs yhi k hmara apna knowledge limited he abi.. Hm insan Qura’an ko poora ni le sktey.. Kion k Qura’an ko agr pahar poora leta to wo b reza reza ho jata..
    Science or logic hmarey apny personal knowledge se to tkra skti he pr Qura’an se hrgiz nhi..
    Me ni janti me apk questions sahi context me smjh ski thi k ni or pta ni me jo asal me kehna chahti thi wo us trah likh ski k ni..
    Or bht lmba likh dia he mene kion k hum writers to hen ni hmen Alfaaz ka mukhtasir or behtreen istmaal nhi ata…

    • This reply was modified 3 years, 3 months ago by Binte Uzma.
    in reply to: Belief without logical argument. #26232
    Binte Uzma
    Participant

    و عليكم السلام ورحمة الله وبركاته!
    Apka jo Q he uska behtar ans to Nemrah Ahmed hi de sken gi.. But bcz ye ak discussion board he to me apny wo thoughts is hwaley se share krna chahun jo apk Q k barey me bht sochtey hoye mere zehn me ai hen.. Actually mere zehn me b ye same ques or is trh k kai or ques ghoomtey rehty hn to jb me sochti hun to automatically hr ques k ans me kuch sochen paida ho jati hen.. muje to apni in sochon se jawabat mil gye pta ni ye baten apk lie jwab bn pati hen k nai..
    Pehli bat to ye k Nemrah Ahmad ne ye ni likha k Allah Tala k hukam k agey aqal ki kasoti pr behas krna sahi nhi.. Muje unk alfaz ka jo context smjh aya he wo ye he k unhun ne likha he k hr bat aqal ki kasoti pr smjhi ni ja skti.. Mtlb kuch smjhi ja b skti hen.. Magr hr bat nhi.. Ye bat alag he aqal or logics ko dekhty hoye behas krna.. Behas krna ghalat nhi he.. But ye bat alag he k hmari aqal ki kasoti ak mehdood had tk hmari madad kr skti he..
    Mere khyal se Rabb ko pehchan lena or maan lena alag he or Usey jaan pana alag..
    Rab ko pehchanney or manney tk hmari aqal istmal hoti he… Lekin usey janny ki koshish me yhi aqal mehdood ho jati he..
    Jo ap ne ye kaha k boot prast ye keh detey k this is it… To Hazrat Ibrahim A.s ne un se yhi kehna tha ‘how’?? Aqal ko istmal kro or “how this can be possible” ka jwab do..
    Duniya k mazahib me se jb ak mazhab select krna he to hum ne offcourse aqal, logics, is kainaat ki nishaniyan or apni fitrat in sb ki bina pr krna hota he… Mazhab ka manna mere khyal se asal me ye he k Rabb ko manna.. Ye manna k Hmara Khuda asal me he kon??? To is k lie jb hm aqal istmal krty hoye Allah Tala ki nishaniyan dekhtey hn to hmari aqal or fitrat hmen jwab deti he k Khuda koi boot ya aag ya pani ni ho skta.. Khuda koi aesi hasti he jo is duniya k time or place k framework me nhi ati.. Kion k agr wo b is duniya k time or place k framework me a jaye to wo Khuda to na hoa.. Jese k boot…
    To ab jb insan ne Allah ko pehchan lia or usey apna wahid Khuda maan lia to mazhab select ho gya.. Islam…
    Ab a gye Islam k ehkamaat to ehkamaat me b mostly cases me to hmari aqal ko smjh a hi jata he k isi me achai or behtari he or science khud b Prove kr deti he… Apko yqeenan pta hi hon gi bht si sunnaten or deen k ahkamat aese hn k science b unhen follow krny me insan ka benefit prove kr deti he.. Jese Science benefits btati he halal food k or nuqsan btati he haram food k.. Jese k science benefit btati he miswak k etc etc…
    Science itna duniya k or mazhab se co relate ni krti jitna k Islam se…
    Phir a jati hen kuch mutshaba cheezen jhan a k hmari aqal jwab de deti he to phir hmen wahan sar kham krna hota he Qura’an ki is ayat pr “jo me janta hun wo tum nhi jantey”
    Ye doghla pan ya do raye nhi he… Blky ye aesa he k dekhen jb ap ne duniya k tmam mazahib compare kiye thy to apki aqal fitrat or kainat ki nishaniyon ne prove kr dia tha k best or one and only haq mazhab Islam he… Jb ap apni tmaam tr search k bad ja k akhir kaar maaney hen k han Deen e Islam hi haq mazhab he to phir bad me agr is deen me kuch percent baten hmen smjh ni a paten to it’s very okey.. Yhi to frk he Khuda ki khudai or insan k insan hny me…
    Us Rabb Tala ne hmari aqal ko itni ijazat di he k hum duniya me wahid khuda ko pehchaan sken or haq deen choose kr sken.. Pr hmari aqal ko itni ijazat Allah ne nhi di k hum sb kuch hi jaan sken… Hmari aqal ak mehdood had tk hmen ye zrur bta deti he k haq kya he… Hmen jb pta chl gya k is puri duniya me in comparison haq yhi deen he… To bs phir agey ja k jb kisi jga pr ye kaha jata he k yhan a kr ab “hum sawal nhi kr sktey” to tb b dil mutmain ho k sar kham kr leta he… Kion k dil k pas pehley itni nishaniyan then itny proofs thy Khuda ki khudai k tb ja k hi dil Islam pr a k thehra tha.. Jesa ap ne kaha k ap Allah Tala ko ye kahen gey meri niyat thik thi me to bs talash me nikla tha to shyd Allah Tala ye kahen k tmhari talash tmhari mehdood aqal kya tmen srf or srf Muj tk hi na lati thi…?
    Or hum apny deen me ak muslim ko islam ko aqal pr prkhtey dekhen to hum usey ghalat to nhi smjhty… Ap ne ye bat suni hogi “To Know Him is to Love Him”.

Viewing 4 posts - 1 through 4 (of 4 total)
Scroll to Top